Havan hamari sabse purani paramparaon mein se ek hai — Vedon se lekar aaj tak ghar-ghar mein. Lekin havan sirf ek dharmik kriya nahi; iske peeche ek soch hai jo parampara aur vigyan dono ko jodti hai. Aaiye samajhein ghar mein havan ke fayde.
1. Ghar Ka Mahaul Badalta Hai
Jab herbs, resins aur samidha ek saath jalti hain, ek gehri shaant khushboo poore ghar mein fail jaati hai. Yeh fragrance mann ko sthir karti hai aur ek pavitra, positive feel deti hai — jaise mandir mein.
2. Parampara Se Juda Routine
Roz ka chhota havan ya dhoop ritual aapko apni jadon se jodta hai. Ek do-minute ka diya routine bhi ghar mein anushasan aur shanti laata hai.
3. Natural Samagri, Charcoal-Free
Havanya ka havan गाय का गोबर aur Himalayan Herbs & Resins se banta hai — bina charcoal ke. Maana jaata hai ki गाय का गोबर jalane ki parampara ghar ki hawa ko shuddh karne ki soch se judi hai, bilkul jaise ped bahar hawa ko saaf karte hain.
4. Festivals Aur Special Din
Amavasya, Purnima, Navratri, griha pravesh — har shubh avsar par havan ghar ki energy refresh karne ka tareeka hai.
Shuruaat Kaise Karein
Roz subah ya shaam 2 minute nikaalein. Ek shaant kona chunein, Havanya ki charcoal-free samagri jalaayein, aur uss khushboo ko poore ghar mein failne dein. Bas itna — parampara wapas aapke ghar mein.